HAR MASLE KE LIYE MUJARIB WAZIFA IN URDU

Har Masle Ke Liye Mujarib Wazifa In Urdu ,” Rozana 450 martba Hasbunallahu wa ni`mal Wakil’: حَسْبُنَا اللَّهُ وَنِعْمَ الْوَكِيلُ parha karay.

2. IMT’HAN ME KAMYABI:
Surah e yaseen ko 12 martba parh kar uskay waseelay se dua kiya karay.

3. SEHAT K LIYE:

Namaz e fajr me sunnat o farz k darmian 41 martba surah e fateha parh kar dam karkay pilaya karay aur ye har la elaj marz ki dawa hain.yun prahay ki bismillah ki akhri meem alhamdu ki laam se milayi jaen…
bismillah hir rahman nir raheemilhamdulillahi…puri surah parhay.

4. HAFEEZA TEZ HO:

Har namaz k b,ad YA QAWEEYU ko 313 martba parh kar hatheliyon pe dam karkay sar par pher Liya karay.

5. JADOO AUR DUSHMAN SE HIFAZAT:

Har namaz k b,ad su.fateha aaytul kursi aur 4ro qul parh kar hatho par dam karkay puray badan pe hath pher liya karay.

6. DUA KABOOL HONAY:

Yaseen sharif parhkar uskay wasilay se dua karay.

7. QARZ SE NIJAAT :

Rozana 505 martba YA FATTAHUYA RAZZAQU parh kar dua karay.

8. RANJ O GHAM AUR MUSIBAT SE CHHUTKARA:

Juma k din b,ad e asr wahi baithay rahay aur ankhay band karkay apni hajat ka taswoorrakh kar bila tadaad YA ALLAHU YA RAHMANU YA RAHEEM parhtay rahay aur azan e magreeb k waqt dua karay,chand jumua aisa karnay se kaisy bhi musiibat ho door ho jaegi.ye sarkar nizamuddeen auliya ka atta karda wazeefa hain.

9. LARHKIYO K RISHTAY K LIYE:

Khud larhki ya uski waliday ya ghar ka koi fard alhamdu sharif es tarha parhay ki jab
Iyyaka Na’budu wa iyyaka nasta’een par phochay to eska 11 martba takrar karay yani dohraye aur phir puri surah khatm karay.aur ye pani bismillah parh kar larhki pelay.40din ka aml hain,bandish bhi khul jati hain,aurat makhsoos dino ko tark karkay parhay.waqt w jagah muqrrar karay.behtar hain ki fajr me sunnat k b,ad parhay.

10. JINN BALAA SE HIFAZAT:

Su.bakra ki tilawat karnay se ghar ya karobar me aur parhnay walon pe jin ya jadoo ka khatra nahi rahta.

11. DUNYAVI HAJAT:

Su.Rahman parh kar dua kiya karay inshallah wo hajat bar aayegi chahay khud ka makan hi kyu na manga jaen.

12. muqadma:

Su.fat’h 40 martba parh kar court jaen faisla aapkay haq me hoga.agar shadeed zokhim ho to 100 bar parh kar dua maangay.inshallah na-insafi na hogi.

13. GURBAT BEIZZATI KO KHATM KARAY;

11-11 durood e pak k sath 300 martba lailaha illa huwal hayyul qayyum ba,d e isha parha karay.90 din ka amal hain.

14. TABADLA KI MANSUKHI K LIYE:

Tabadla rukwanay k liye 19 martba surah e tabbatyada parh kar dua karay.

15. NEK W SA,ADATMAND AULAD K LIYE :

Jab hamal thahar jaen to sub,ah sham 100 martba YA QUDDOOSU parh kar pet par dam kiya karay.aulad nek aur dunya me izzat hasil karaegi.

16. MUHABBAT KEY LIYE :

Agar aurat se shohar muhbat na karta ho ya bud akhlaq ho ya shohar ki biwi aisi ho to rat ko sonay se pahlay 1100 martba YA MOMEENU parh kar ankhay band karkay ye taswoor karay ki main aur mera shohar ars k saaye me hun aur shohar ka taswoor karkay so jaen.inshallah shohar muhbat se pesh aayega.

17. MULAZIMAT:

Agar mulazimat na ho ya nikal diya ho aur wo wapis paana chahta ho to aadhi raat ko uth kar wuzu karkay asman k nichay kharay ho kar 300 martba YA AZEEZU parh kar dua kiya karay inshallah bahot jald wapis mulazimat lag jayegi

18. WASAEL ME EZAFA:

Fajr ki namaz ada karnay k b,ad aisy jagah baithay jahan se aftab nikalta hua nazar aaen jaisay hi surah ki tikiya namoodar ho YA BASEETU parhna shuru karday aur hateliyon par dam karkay chehray par pher le lay.
40din ka amal hain.aurat makhsoos din me bhi jari rakhay.


19.GHAR WALAY AAPAS ME MUHABBAT KARAY.


786 Martba bismillah hir rahman nir raheem par kar pani pe dam karkay sabhi ghar walay piye ya kisi tarkeeb se pilaye aur ghar k konon me halka chhirhk de.toilet etc jagah pe na chhirhkay.

Bimarion Ke Ilaj Ke Liye

 

Beemarion K Ilaj K Liye.gif

Bimarion Ke Ilaj Ke Liye  ,” Quran Pak ki 6 Aayat jin mein shifa ka tazkara hai dam karnay, Taweez bana kar pilanay, Taweez bana kar bandhnay, pani par dam kar k pilanay or bator wird batanay al gharz har tareekay say har beemari k nafa mand hein. Taweez bananay k soorat mein pehlay Surah Fatiha or aakhir mein Durood Sharif bhi likh liye jaye. Wo 6 Aayat mandarja bala hein. In Aayat k istamal k darj bala tareekay mufeed-o-mujarrab hein. Mareez khud in Aayat ko parh kar apnay upar dam karay. Koi or parh kar mareez par dam karay. Pani par dam kar k dein mareez is pani ko 7 din piye. Taweez bana kar dein is Taweez ko pani mein daal kar wo pani 7 din tak piyen. Kam honay ki soorat mein pani or milatay rahein. Sakht zaroorat k tehat chand din tak Taweez bana kar bandhein. Baray imraz Cancer, Sugar k liye mushq-o-zafran say ma Surah Fatiha-o-Durood Sharif likhein, mareez subah saweray yeh plate dho kar pi lay 21 din tak yeh amal karein.